Wednesday 13 February 2008

Kid in each one of us

Khidki se jo aayee
jharne me nahayee,
ye geeli-geeli see hawa hai aayee dekho,
dhoop ko dhakelti ye,
pardon se khelti ye,
aankhe meenche meenche bhaagi chali aayee dekho !!

Pedo me fasee thi kahee,
zulfon me uljhi si kahee,
hatheli par bitha ke panchhiyo ko laayi dekho,
kaise dagmagaati,
pedo se ye takraati,
yu girti giraati, maano desi hai chadhaai dekho,

Zindagi bhi hai ek jhonka ,
tumne hai usey roka,
kholo-kholo saare darwaaje,
thoda-thoda saa muskura ke
saare apne chehre sajaake,
zindagi haseen hai, isey dekho
zara paas bithaa ke!

Aasmaan me jo hai taare,
jagte hai raato ko saare,
tim-timaate khil-khilaate,
tumhe khojne wo aate,
karvat badal ke dekho, khidki ke bahar aaye saare!!

Chaand akela rehta hai,
tumse wo roz kehta hai ki
Mutthi me chaandni bharke,
mal do gaalon par sabhike,
jaldi jaldi karo kahee
neend ke baadalo ke peeche, chaand kho naa jaaye dekho!!

Tum bhi chalo,
mai bhi chalu,
laaye khoj ke wo humaare,
bachpan ke din wo pyaare.
jebo me bhar , hatheliyo par.
wo andhere se darr,
wo maths wala sir,
wo sardi bukhar,
phir maa ka dulaar,

Aisee kitni hai yaadein,
geeli-geeli see hai baatein.
Ye jo hai hawa chaand aur taare.
humse roz kehke jaate saare

"Door mat jaa kahee,
dekh dil ke panne palat kar
mil jaayenge chamakte tujhe
wo jo hai 'taare zameen par'!! "

Dedicated to the kid in each one of us....

No comments:

Post a Comment

Gift of Nostalgia on A Birthday

Hello Aunty, Wanna say I miss yu   Miss spending tyme with yu I miss the food yu cooked   And good, my world looked The ...